Qabr O Mazaraat Par phool Dalna Kaesa 03

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




 *🥀 QABR O MAZARAAT PER PHOOL DAALNA KAESA 🥀* 



 *POST 03*

🌺 *IS PART KO SAMAJNE K LIYE PART 2 ZAROOR PADHEY...*

🍁 ```Pehle is Hadees E Paak Ki Shara Dekhe Sahi Bukhari ki Sabse Maotabar Maane Jaane Waali Shara wahabi Bahot Dawa karte hain maanne ka Lekin Maante kuch nahi.```

🌿 *Imam Ibn Hajar Asqalani Futoohul Baari Shara E Sahi Bukhari me kya likhte hai.*

🌴 إن المعنى فيه أن يسبح ما دام رطباً فيحصل التخفيف ببركة التسبيح، وعلى هذا فيطرد في كل ما فيه رطوبة من الأشجار وغيرها. وكذلك فيما فيه بركة كالذكر وتلاوة القرآن من باب الأولى

📇 *Translation:*
🌴 Iska Maana Ye Hai k Jab Tak Shakhe’in Taaza Rahengi Ye Tasbeeh Karengi Aur USKI BARKAT se Azaab Me Taqfeef Rahegi.

🌾 *Isse Ye Bhi Maloom Huwa k wo har cheez jo taaza rahe jisme Taazgi ho Ped Paudo (Trees/Plant) Me Daala Jaaye To Azaab ki kami ka baayis hoga.*

🌾 *Isi Tarah ‘Har Wo Cheez Jis Se Barkat e Zikr Aur Quran Ka padhna is se Afzal Hai.”*

📚 *References:*
📗 *(Imam Ibn Hajar Asqalani Fatuhool Baari Shara E Sahi Bukhari Vol : 01. Pg : 426)*

🍁 *Ab Aaye Aur Explanation of Above Hadees point wise:*

1⃣ *Qabr Me Faot Shuda Ko Azaab:*

🌲 Qabr Me Murdo par Azaab Hona ye gaib ki baat hai jo HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ka Qabr me Murdo k halaat se bhi waqif hai unki awaaz bhi sunte hain.

2⃣ *Nigahe Nabuwat ﷺ Ka Aalam Kya Hai (Power of Seeing of Beloved Prophet ﷺ):*

🌲 Huzoor Rehmat E Aalam صلى الله عليه و آله وسلم Ki Nigaah Dekho Kabr Hai Kya Andar Kya Horha hai Ye bhi Dekh Rahe hai aur tum kahte ho hamari tarah hai.



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

आगर पीरे कामिल ज़िंदा हो तो किसी और पीरे कामिल से तालिब हुआ जा सकता है क्या उसके लिए अपने शैख़ से इजाज़त लेना ज़रूरी है*

उर्स का मतलब क्या होता है और इसका मनाना कैसा है*

बुर्जुगाने दीन का तबर्रूक खाने से दिल मुर्दह हो जाता है किस का फतवा है*