Qabr O Mazaraat Par phool Dalna Kaesa 10.

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



 *🥀 QABR O MAZARAAT PER PHOOL DAALNA KAESA 🥀* 



🌳 *POST 10*

🍀🌼🍀🌼🍀🌼🍀🌼🍀

3⃣ *Kya Tum HUZOOR NABI KAREEM ﷺ Ki Dua Ko Kamzor Samajhte Ho Jo Tehni aur phool daalte ho?*

🌰 *Al Jawab:*
🌿 Sudhaarna Islaah karna maqsad hota nahi lehaza bina haaath pair ki daleel laana yaha waaha k aqli ghode hai bas yahi hai mukhalifeen k pass khair Iska bhi ilmi aur tehqeeqi jawab de rahe hai hum

🌾 Beshak HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ki dua kaynaat me sabse buland makam rakhti hai jisko ALLAH TAALA Raddh nahi karta.

🌾 Agar HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ye dua karte k AYE ALLAH QAYAMAT TAK AANE WAALI UMMAT SE AZAAB E QABR KI NIJAAT DEDE aur qabool hoti to natija ye nikalta logo ko Qabr k azaab ka khaof hi naa hota k ab to bas kuch bhi karo Qabr me koi azaab hi nahi hai us waqt waha un do Qabr waalo k liye Dua kar dete azaab dur hojata par baad k Zamane waalo ka kya?

🌾 Bahot se aise Musalmaan bhi huwe aur aage bhi honge jo is haal me qabr me jaayenge hum aap dua kare Qabool ho naa ho guarantee nahi hai hum bas dua kar sakte hai par HUZOOR NABI KAREEM RAUF O RAHEEM ﷺ hai apni ummat pe to ummat ko qabr se nijaat k liye ek aisa amal bata diya jisko amal karo tumhari dua ki guarantee nahi hai.

🌿 Lekin wo tehni taaza phool jab tak sukh naa jaaye unki guarantee hai k wo ZIKR E ILAHI karenge to jab tak Qabr k azaab se raahat milegi wajah ye hai par afsoos hai tumhari soch pe har chiz ko ulta hi samajhte ho tumhari khopdi me baat kaha aati hai.




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

आगर पीरे कामिल ज़िंदा हो तो किसी और पीरे कामिल से तालिब हुआ जा सकता है क्या उसके लिए अपने शैख़ से इजाज़त लेना ज़रूरी है*

उर्स का मतलब क्या होता है और इसका मनाना कैसा है*

बुर्जुगाने दीन का तबर्रूक खाने से दिल मुर्दह हो जाता है किस का फतवा है*