Qabr O Mazaraat Par phool Dalna Kaesa 04

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




 *🥀 QABR O MAZARAAT PER PHOOL DAALNA KAESA 🥀* 




 *POST 04*

3⃣ *Azaab Ki Wajah Bhi Batadi:*

🌾 Gaur Kare K sirf Azaab hona Hi nahi balki HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne bhi bayaan kar diya k Azaab ho kyu raha hai wajah kya hai wo bhi bata diya.

🌾 Zaahir si baat gheebat karna peshab k qatre se naa bachna ye insaan ka apna amal hai jo wo khud jaanta hai lekin HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne ye tak bata diya k inpe azaab kis bad amli k sabab ho raha hai pata chala k ummati amal kya karta hai uske tamam amal bhi Mustafa Jaane E Rehmat ﷺ se chupe nahi hai.

🌾 HUZOOR NABI KAREEM ﷺ hamare chup ke kiye amal se bhi waaqif hai kaon kya amal kar raha hai HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ye bhi jaante hain.

4⃣ *Deewar k Piche Ki Bhi Khabar Hai:*

🌾 To kis bina par ye wahabi ye aqeeda rakhte hain k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ko Deewar k piche ki qabar nahi thi deewar to dur ki baat Ek deewar dekho is paar aap ho us paar koi hai uska faasla kitna hoga ek deewar zyada se zyada 1 feet moti hogi.

🌾 Par qabr ka fasla kitna hai us deewar se bhi bahot zyada HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ne us aqeede ka bhi raddh kar diya jo ye kahe deewar k piche ki qabar nahi hai aur Sahaba ne bhi isko tasleem kar liya warna wo kah sakte hai ye to gaib ki baat hai YA RASOOL ALLAH ﷺ aapne Kaise bayan kardi...?

🍁 *JO BE ISHQ E MUHAMMAD صلى الله عليه و آله وسلم PADHTE HAIN BUKHARI*
🍁 *AATA HAI BUKHAR UNHE AATI NAHI BUKHARI*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

आगर पीरे कामिल ज़िंदा हो तो किसी और पीरे कामिल से तालिब हुआ जा सकता है क्या उसके लिए अपने शैख़ से इजाज़त लेना ज़रूरी है*

उर्स का मतलब क्या होता है और इसका मनाना कैसा है*

बुर्जुगाने दीन का तबर्रूक खाने से दिल मुर्दह हो जाता है किस का फतवा है*