Qabr O Mazaraat Par phool Dalna Kaesa 05

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴




 *🥀 QABR O MAZARAAT PER PHOOL DAALNA KAESA 🥀* 



 *POST 05*


5⃣ *Gheebat Aur Peshab K Katre Se Bachna bahot Jaruri Hai:*

🌾 Pata chala k insaan pe in chizo k wajah se bhi azaab hoga kabr me lihaja hume chahye k Geebat (backbitting) aur Peshab K karto se khud ko bachana chahye.

🍁 *Note:*
🌺 Kuch jaahilo ne raddh e badmazhabiat munafikat ko GEEBAT ka naam diya hai ye jahalat hai 72 Gumraah sects ka raddh karna backbitting nahi balki ALLAH AUR RASOOL ﷺ Ki Sunnat hai in khabeeso ka radh QURAN AUR Hadees me maujood hai.

6⃣ *Is hadees se ye bhi wazeh huwa k Sabz Shakh jab tak sukhti (Khushk) nahi hoti wo ALLAH TA'ALA Ki Hamd O Sana Karti Hai lihaza Uski Tasbeeh karne ki wajah se Qabr me Madfoon Mayyat k azaab me narmi hoti hai.*

🌾 To pata chala sirf rahaat dua se hi nahi balki in amal se bhi hoti hai aur yehi hadees se Aimma Fuqaha ne Farmaya hai k Qabr Me SHAKH aur Phool Daalna MUSTAHAB AUR BARKAT WAALA Amal hai.

⛔ *Ab ye hadees dikhado to wo munkireen ki bolti band hojayegi lekin chunke awaam ko hamesha amal se khaer o barkat se dur rakhna inka maqsad hai lihaza aitraaz layenge k yaha to SHAAKH ka hukm hai tum phool daalte ho biddat hai shirk hai.*

🌺 Halanki ye to wazeh huwa hai k biddat aur shirk to hargiz nahi hai chunki Phool daalna agarche hadees me nahi likha hai lekin ye amal ki asl Sunnat se saabit hai.

🌵 *Is Hadees E Paak Se Fuqaha Ne istedlaal kiya hai k Qabr Par Phool Daalna Accha amal hai chunki wo jab tak taaza hota hai Zikrullah karta hai.*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

आगर पीरे कामिल ज़िंदा हो तो किसी और पीरे कामिल से तालिब हुआ जा सकता है क्या उसके लिए अपने शैख़ से इजाज़त लेना ज़रूरी है*

उर्स का मतलब क्या होता है और इसका मनाना कैसा है*

बुर्जुगाने दीन का तबर्रूक खाने से दिल मुर्दह हो जाता है किस का फतवा है*