AWLIYA AUR SALEHEEN RADIYALLAHU TA’ALA ANHUM AJ’MAEEN KI KARAMAT KA BAYAN

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 AWLIYA AUR SALEHEEN RADIYALLAHU TA’ALA ANHUM AJ’MAEEN KI KARAMAT KA BAYAN 🥀*



    Part-01

🌹“Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Zawza Mubaraka Hazrat Aaisha Siddiqua RadiyAllahu Ta’ala Anha Bayan Karti
 Hain Ki.... 
🔹Hazrat Aboo Bakar Siddique RadiyAllahu Ta’ala Anhu Gaaba (Naami Waadi) Me Unhein Khajooor Ke Chand Darakht Hiba Kiye Jin Me Se Bees Wasaq Khajoorein Aati Thi....
🔴Jab Hazrat Aboo Bakar Siddique RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ki Wafaat Ka Waqt Qareeb Aaya To Unhone Farmaya....

♦️Aye Meri Pyari Beti!
Aisa Doosara Koi Nahin Jis Ka Apne Baad Ghani Hona Mujhe Tum Se Zyada Pasand Ho 
Aur Apne Baad Mujhe Kisi Muflisi Zyada Gara’n Nahin...

🔸Mein Ne Tumhein Kuchh Darakht Diye They Jin Se Bees Wasak Khajoorein Aati Thi Agar Tumne Un Par Qabja Kiya Hota To Woh Tumhare Ho Jaate....
🔸Ab Woh Miraas Ka Maal Hai Aur Tumhare Do² Bhai Aur Do² Behnein Hain.
So Saare Maal Ko Allah Ki Kitaab (Ke Hukm) Ke Mutabik Taqseem Kar Lena..

🔹Hazrat Aaisha RadiyAllahu Ta’ala Anha Farmati Hain :
Mein Ne Arz Kiya :
Abba Jaan!
🔹Maal Khwaah Kitna Hee Zyada Hota Mein Chhod Deti Lekin Meri Bahen To Sirf Hazrat Asma Hain Doosari Kaun Hai?
🔸Hazrat Aboo Bakar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Farmaya Woh Binte Khaarija Ke Pet Me Hai Aur Mere Khayaal Me Woh Ladaki Hai Phir Unhone Umme Kulsoom (Naami) Beti Ko Janm Diya.”....
🌹SHUBHANALLAH🌹
📕📙📗📘📔📓📕
Malik Al-Muwatta, 02/752, Raqam-1438,
Bayhaqi

As-Sunan-ul-Kubra, 06/169, Raqam-11728, 12268

Tahawi Sharh Ma’ani Al-Aathar, 04/88,
Lalka’i

Karamat-ul-Awliya’, 01/177, Raqam-62

Asqalani Al-Isabah, 07/575, Raqam-11023

Nawawi Tahdhib-ul-Asma’, 02/574, Raqam-1030, 1239

Zayla’i Nasab-ur-Rayah, 04/122

Aboo Ja’far At-Tabari Ar-Riyadh-un-Nadhirah, 02/123, 257

Ibn Sa’d At-Tabqat-ul-Kubra, 03/194



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

आगर पीरे कामिल ज़िंदा हो तो किसी और पीरे कामिल से तालिब हुआ जा सकता है क्या उसके लिए अपने शैख़ से इजाज़त लेना ज़रूरी है*

उर्स का मतलब क्या होता है और इसका मनाना कैसा है*

बुर्जुगाने दीन का तबर्रूक खाने से दिल मुर्दह हो जाता है किस का फतवा है*