AWLIYA AUR SALEHEEN RADIYALLAHU TA’ALA ANHUM AJ’MAEEN KI KARAMAT KA BAYAN

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 AWLIYA AUR SALEHEEN RADIYALLAHU TA’ALA ANHUM AJ’MAEEN KI KARAMAT KA BAYAN 🥀*



        Part-02

🟠“Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Aboo Bakar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Se Aik Taweel Waaqiye Me Marwi Hai Ki.... 
♦️Aik Martaba Hazrat Aboo Bakar Siddique RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Sahaba Kiram (Ashabe Suffa) Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Aj’maeen Ki Daawat Ki (Aur Un Ke Saath) Aap Ne Khud Bhi Khaana Khaaya Aur Doosaron Ne Bhi.

🔸Har Luqma Uthaane Ke Baad Khaana Pehle Se Bhi Zyaada Badh Jaata....

🌹Sayyadana Siddique Akbar RadiyAllahu Ta’ala Anhu Ne Apni Beewi Se (Jo Bani Faraas Ke Qabeele Se Thi) Farmaya...

🔹Aye Hamsheera Bani Faaras!
Yeh Kya Maamala Hai?
Unhone Arz Kiya :
Aye Meri Aankhon Ki Thandak (Mere Sartaaj) Is Waqt To Yeh Khaana Pehle Se Teen Guna Jyaada Hai 

🔹Chunanche Un Sab Sahaba Ne Bhi Khoob Khaaya Aur 

🌹Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ki Khidmate Aqdas Me Bhi Rawaana Kiya, Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alaihi Wa Aalehi Wa Sallam Ne Bhi Tanaawul Farmaya.”
Muttafaque Alayh

📕📙📗📘📔📓📕
Bukhari As-Sahih, 01/216, Raqam-577, &
03/1312, Raqam-3388, &
05/2274, Raqam-5789, &
05/2274, 5790,

Muslim As-Sahih, 03/1627, Raqam-2057,

Bazzar Al-Musnad, 06/228, Raqam-2263,

Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 01/197, Raqam-1702, 1712



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

आगर पीरे कामिल ज़िंदा हो तो किसी और पीरे कामिल से तालिब हुआ जा सकता है क्या उसके लिए अपने शैख़ से इजाज़त लेना ज़रूरी है*

उर्स का मतलब क्या होता है और इसका मनाना कैसा है*

बुर्जुगाने दीन का तबर्रूक खाने से दिल मुर्दह हो जाता है किस का फतवा है*