क़ुरआन का फै़सला सिर्फ़ या अल्लाह मदद
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 क़ुरआन का फै़सला सिर्फ़ या अल्लाह मदद 🥀*
❎या रसूल्लाह मदद❎
❎या अली मदद❎
❎या वली मदद❎
❎या ग़ौस आज़म मदद❎
और ना पुकारो अल्लाह के सिवा ऐसो को जो ना तुम्हें फ़ायदा पहुंचासकता है और ना नुक़सान,
✏️ पस तुमने ऐसा किया तो यक़ीनन तुम ऐसी सूरत में ज़ालिमों में से हो जाओगे.
*📚(क़ुरआन, सूरह:यूनुस:106)*
👆👆👆👆👆👆👆👆
✏️ HAZRAT WAHABI IS MSG KO FELA RAHE HAI BARAE KARAM DALEEL KE SATH ISKA TAFSSELI JAWAB DEKER REHNUMAI FARMAE.....
✏️JAWAB : Sura Yunus ki aayat no 106 me jo farmaya gaya k kisi ayse se na pukaro jo tumhen na fayda aur na nuqsaan pahuncha sakta hai haq farmaya quran ne lekin yahan suwal yeh hai k RASOOL AL ALLAH sallallaho alyhi wa sallama kisi ko fayda ya nuqsan pahuncha sakte hain ya nahi
✏️Quran e paak irshaad farmata hai AUR UNHEN KYA BURA LAGA YAHI NA K ALLAH AUR US K RASOOL NE UNHEN GANI (maal daar) KAR DIYA APNE FAZL SE
*📚 (sura tauba aayat no 74)*
✏️Aayat saaf bata rahi hai k rasool ne bhi gani kiya gani karna fayda pahunchana hai pata chala k aayat e kareema (sura yunus) me kisi aur ka tazkera hai jo na nuqsan aur na fayda pahuncha sakta ho rasool wa ali nahi ayse hi quran me irshad hua ايّاك نعبد و ايّاكنستعين hum teri hi ibadat karen aur tujhi se mada chahen gar is aayat e me har tarah ki madad talab karna sirf Allah ki zaat tak mahdood kar diya jaye to kya sirf auliya Allah aur anbiyaa e kiram ki zaat se madad talab karna shirk ho ga kya yahi ghayr e khuda hain Khuddam, naukar chakar, aur sab log, kya yeh gayr e khuda nahi hain gar hain to inhen kiyun pukara jata hai in se apne kaam poore karne me madad kiyun li jaati hai gar yeh sab gayr e khuda hone me daakhil hain to kya jawab ho ga is aayat e paak ka واستعينوا بالصبر و الصلوة madad chaho sabr aur namaz se kya sabr khuda hai k jis se madad maangne ka hukm hua kya namaz khuda hai k jis se madad maangne ka hukm hua ek jagah aur irshad hua تعاونوا على البر و التقوى aapas me ek dosre ki madad karo bhalaai aur taqwa par ab suwal baaqi hai in wahabiya par k jab sirf Allah se maangna hai to in aayat ka kya jawab hai aap k pass fir aur dekhen quran e paak me *📚sura nisa aayat no 64* و لو انهم اذ ظلموا aur agar jab wo apni jano par zulm kar len (gunah) to tumhare pass (rasool Allah) hazir hon aur Allah se maafi mangen auraafi maangen un k liye rasool to be shak Allah ta'ala ko tauba qobool karne wala meharban paayen Ab yahan bhi dekhen k kya Allah ta'ala apne aap nahi bakhs sakta kiyun farmaya gaya k mahboob aap k pass hazir hon gunehgaar wazeh hai k tauba ki qobooliyat ka darwaza mere aaqa wa maula huzur nabi e akram sallallaho alyhi wasallama ki zaat e ba barkaat hai isi liye Aala hazrat farmate hain
*WA-ALLAH WO SUN LEN GE, FARYAAD KO PAHUNCHEN GE*
*ITNA TO HO KOI JO AAH KARE DIL SE*
*👉 Asal masla hai ataai aur zaati ka dene wali haqeeqi zaat wo Allah ki hai usi k diye se rasool aur rasool k diye se auliya Allah logon ko baant,te hain Allah ka apna khud ka hai zaati hai aur digar ka ataai hai Allah ka diya hua hai koi bhi sunni musalman kisi bhi gayr e khuda se maange to khuda samjh kar nai maangta gar khuda samjh kar maanga to wo kafir ho ga Allah ka diya hua samjh kar maange to sawab ho ga is farq ko bayaan kiye bagyer to na quran ka mafhoom samjh aaye na kufr wa shirk ka matlab samjh aay*
*✍️ (Mufti) Maqsood Akhtar Qadri Khadim Dar al-Ifta Ridawi Amjadi 50/ New Qazi Street Mumbai 400003*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
Comments
Post a Comment