Kya Auliya Apni Qabro Me Zinda Hote Hai Kya Unko ilm e Gaib Hota Hai Kya Wo Logo Ko Pehchante Hai

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 Kya Auliya Apni Qabro Me Zinda Hote Hai Kya Unko ilm e Gaib Hota Hai Kya Wo Logo Ko Pehchante Hai 🥀*



*✏️Hazrat Imam Abu Nu'aym Isfahani Al Mutawaffah 430 Hijjri Ek Waqia Naql Karte Hai" Abul Tayyah Farmate Hai Ke*
_Mutaraf Bin Abdullah Jangal Me Rehte The Aur Har Jume Ki Raat Ko Ghode Par Sawaar Hokar Qabristan Jate The" Basa Aukat Unka Ghoda Raat Me Roshni Me Chamakne Lagta Tha. Ek Martaba Jab Aap Qabristan Pauhche Toh Ghode Par Baithe Baithe Udnay Lage_ *_Mutaraf Kehte Hai Mene Dekha Har Qabr Wala Apni Qabr Ke Upar Baitha Hai Aur Jab Unhone Mujhe Dekha Toh Kahne Lagay Ye Mutaraf Jo Har Jume Ko Aate Hain_* _Hazrat Mutaraf Kehte Hai Kya Tumko Jume Ke Din Ka Bhi Pta Chalta Hai_ *Unhone Kaha Haan Is Din Parinde Kya Kehte Hai Iska Bhi Humko Ilm Hota Hai Hazrat Mutaraf Kehte Hai Is Din Parinde (Birds) Kya Kehte Hai*
_Un Qabr Walon Ne Jawab Diya Parinde *(Birds)* Kehte Hai_ *_Salam Salam Min Yaume Saleh_*

*Point Bi Noted*
_Pta Chala Ki Auliya Apni Qabro Me Zinda Hote Hai Aur Apni Qabro Par Aane Walon Ko Pehchante Bhi Hai Aur Unko ilm Knowledge Bhi Hota Hai Allah ﷻ Ki Ata Se_

*Noted Iski Sanad Narration Ko Imam Zehbi Ne Sahih Karar Diya Jisko Wahabre Ahle'hagees Apna Imam Kehte Hai* 📚Siyar A'lamin Nubula *Vol 4 Pg 193*

*📚 Hilyat Al Awliya Wa Tabaqat al Asfiya Arabic Vol 2 Page 205*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

Comments

Popular posts from this blog

आगर पीरे कामिल ज़िंदा हो तो किसी और पीरे कामिल से तालिब हुआ जा सकता है क्या उसके लिए अपने शैख़ से इजाज़त लेना ज़रूरी है*

उर्स का मतलब क्या होता है और इसका मनाना कैसा है*

बुर्जुगाने दीन का तबर्रूक खाने से दिल मुर्दह हो जाता है किस का फतवा है*